Ishq Mein Badtameej Hona Jaruri Nahin | Sarash

Ishq Mein Badtameej Hona Jaruri Nahin | By Sarash

Ishq Mein Badtameej Hona Jaruri Nahin




ये दिल का दर्द है जनाब

वाह-वाह न कीजियेगा,

अच्छी लगे तो दिल पे हाथ रख कर

बस उसके लिए दुआ कीजियेगा


Ye dil ka dard hai janab

Wah-wah na kijiyega

Achhi lage to Dil pe hath rakh kar

Bas uske liye dua kijiyega
***


वो पहली बार जब तेरी नजरों से मिले थे

पुछकर तेरा दिल का रास्ता हम उस और चल दिए थे,

पहुचे जब तेरे दिल के गलियारों में

भीड़ बहुत थी जगह खाली मिली किनारों में


Wo pehli baar jab teri najron se mile the

Puchh kar ter dil ka rasta hum us or chal diye the

Pahuche jab tere dil ke galiyaaron mein

Bheed bahut thi jagah khali mili kinaron mein
***


ठहरे कुछ पल वहां तो वहीँ सिमट कर बैठ गए

रेहना है यहाँ ता-उम्र ये बात पकड़ कर बैठ गए,

बेफ़िक्र से हो गए थे तेरे इश्क़ में इस कदर

दुर जाने के डर से हम रह गए बेख़बर,

तेरे गोद में सर रख कर हम यूँ सो गए

हम ख्वाब में गए तुम न जाने कहाँ खो गए


Thehre kuch pal wahan to wahin simat kar baith gaye

Rehna hai yahan ta-umra ye baat pakad kar baith gaye

Befikra se ho gaye the tere ishq mein iss kadar

Dur jaane ke dar se hum reh gaye bekhabar

Tere god mein sar rakh kar hum yun so gaye

Hum khwab mein gaye tum na jaane kahan kho gaye
***


यक़ीनन तेरा गुस्सा होना,

छोड़ कर चले जाना जायज है

पर गुनहगार सिर्फ मैं हूँ

ये बात तो नाजायज है


Yakinan tera  gussa hona,

 Chhod kar chale jana jayaj hai

Par gunahgar sirf main hoon,

Ye baat to najayaj hai

***

Mere Baad Bhi Kayi Aashiq Badle Usne


तारीख और वक़्त एक ही था उनसे मिलने और जुदा होने का

अब ख़ुशी मनाये उसे पाने की या गम मनाये उसे खोने का,

अरे वादा हम ही कर बैठे थे

कि अब नहीं खटखटाएंगे दरवाजा तेरे दिल के किसी कोने का

पर अब फ़र्क़ कहाँ पड़ता है तुझे होने न -होने का


Taarikh aur waqt ek hi tha unse milne aur juda hone ka

Ab khushi manaaye use pane ki ya gam manaaye use khone ka,

Are wada hum hi kar baithe the

ki ab nahi khatkhatayenge darwaja tere dil ke kisi kone ka

Par ab farq kahan padta hai tujhe hone na-hone ka

***

Aashiqui Mein Sharab Bhi Jaruri Hai


खवाबों में हर रोज उससे मुलाकात होती है

वो सामने नहीं होती पर उससे बात होती है,

ए खुदा थोड़ी और लम्बी कर देता मेरे ख्वाबों की उम्र

वरना ख्वाबों से बाहर कहाँ उसे मेरी जरुरत होती है


Khawabon mein har roj ussey mulakat hoti hai

Wo samne nahi hoti par ussey baat hoti hai

Ae khuda thodi aur lambi kar deta mere khwabon ki umra

Warna khwabon se bahar kahan usey meri jarurat hoti hai

***

Best Zakir Khan Shayaris


उसके दूर जाने के बात से हम डर जाया करते थे

अब यूँ समझ लीजिए जनाब हम बात -बात पर रो दिया करते थे,

और आदमी रोता नहीं ये बात गलत है

दिल तोड़कर देखिये उसमे भी जज्बात बहुत हैं 


Uske dur jane ke baat se hum dar jaya karte the

Ab yun samajh lijiye janab hum baat-baat par ro diya karte the,

Aur aadmi rota nahin ye baat galat hai

Dil todkar dekhiye usme bhi jajbat bahut hain

***

Jab Ji Chaahe Maut Bichha Do Basti Mein | Rahat Indori


सिर्फ कह देना और बात -बात पर रो दे न

मोहब्बत नहीं होती,

अरे कोई बताओ उन्हें की नहीं होते आंसू पलकों से जुदा हुमारे

अगर हमें तुमसे मोहब्बत नहीं होती 


Sirf keh dena aur baat-baat par ro dena

Mohabbat nahi hoti,

Are koi batao unhe ki nahi hote aansu palko se juda humare

Agar humein tumse mohabbat nahin hoti

***

Breakup Mein Sharab Nahin Chai Chahiye


माना हम गलत थे, बद्तमीज थे, थे गुस्से से भरे हुए

पर इश्क़ था हमारा सच्चा हम तुझपे ही तो थे मरे हुए,

अरे कोशिश कर तो रहे ही थे खुद को बदलने की

पर तूने तो सजा ही सुना दी बिना पैरवी करे हुए


Mana hum galat the, badtameej the, the gussey se bhare huwey

Par Ishq tha humara sacha, hum tujhpe hi to the mare huwey,

Are kosis kar to rahe hi the khud ko badalne ki

Par tune to saja hi suna di bina parawi kare huwey

***

Chhoda To Usne Tha Maine Nahin


दिल जनता था छोड़ दोगे तुम उसी

मैं फिर भी तुझे पाने की कोशिश करता रहा

दरिया के दो किनारों सा इश्क़ हमारा

मैं बार-बार उन्हें मिलाने की कोशिश करता रहा

यकिन था छोड़ दोगे हाथ तुम मंज़िल आने से पहले

पर मैं थोड़ी और दूर चलने की गुज़ारिश करता रहा


Dil janata tha chhod doge tum usey

Main phir bhi tujhe pane ki kosis karta raha

Dariya ke do kinaron sa ishq humara

Main baar-baar unhe milane ki kosis karta raha

Yakin tha chhod doge hath tum manzil aane se pehle

Par main thodi aur dur chalne ki guzarish karta raha

***

Sangita Yaduvanshi Best Shayaris


जब तक था

बेपनाह इश्क़ था

तब दिल भी था, बातें भी थी

तो जी भर के की भी तुझसे

अब नहीं है कुछ कहने को तुझसे

तो बता क्या कहूँ तुझे

अब नहीं रहा जाता इन तंग गलियों वाले मकान में मुझसे

तु टूट कर बेशक बिखर भी जा समेटूंगी नहीं

बेपरवाह हूँ परवाह की उम्मीद न कर मुझसे

कि इस कदर मिटा दिया उसने अपनी यादों से हमें

कि गैरों से बात करते हमारा ख्याल नहीं आता

जो टूट पड़ते थे जरा सी तकलीफ पर हमारे

आज तड़प रहे हैं और उन्हें जज्बात नजर नहीं आता


Jab tak tha

Bepanah tha ishq tha

Tab dil bhi tha, baatein bhi thi

Toh jee bhar ke ki bhi tujhse

Ab nahin hai kuch kehne ko tujhse

To bata kya kahoon tujhe

Ab nahin raha jata in tang galiyon wale makan me mujhse

Tu toot kar beshak bikhar bhi ja sametoongi nahin

Beparwah hoon parwah ki ummid na kar mujhse

Ki iss kadar mita diya usne apni yaadon se humein

Ki gairon se baat karte humara khayal nahin aata

Jo toot padte the jara si takleef par humare

Aaj tadap rahe hain aur unhe jajbaat najar nahin aata

*****


Thank You

Corona Ne BarBaad Kar Diya

Corona Se Achha Toh Prem Virus Tha

Sare Aam Nasha Karne Laga Hoon

(Disclaimer: The Original Copyright Of this Content Is Belong to the Respective Writer)

Post a Comment

0 Comments