Aashiqon Ko Sharab Nahin Mili Lockdown Mein | Sandy Khanda

Aashiqon Ko Sharab Nahin Mili Lockdown Mein | By Sandy Khanda

Aashiqon Ko Sharab Nahin Mili Lockdown Mein

आशिक़ों को शराब नहीं मिली लॉकडाउन में


लॉकडाउन में  फंसी

वो मेरा इंतजार कर रही है

शायद वो अब मुझसे

पहले से कम प्यार कर रही है

ना जाने कोरोना हमारे

मोहब्बत के बीच में कहाँ से आ गया

लॉकडाउन का असर शायद हमारी

मोहब्बत में भी आ गया !


किसकी मोहब्बत मुझ पर

दवा जैसी असर कर रही है ?

लॉकडाउन में  फंसी

वो मेरा इंतजार कर रही है

शायद वो अब मुझसे

पहले से कम प्यार कर रही है


Corona Se Achha Toh Prem Virus Tha


Lockdown mein fansi

Wo mera intejar kar rahi hai

Shayad wo ab mujhse

Pehle se kam pyar kar rahi hai

Na jaane Corona humare

Mohabbat ke bich mein kahan se aa gya

Lockdown ka asar shayad humari

Mohabbat mein bhi aa gya!


Kiski  mohabbat mujh par

Dawa jaisi asar kar rahi hai ?

Lockdown mein fansi

Wo mera intejar kar rahi hai

Shayad wo ab mujhse

Pehle se kam pyar kar rahi hai



रोज का आना जाना था

उसके मोहल्ले के सामने से

रोज का रूठना-मानना था

एक ज़माने से

हैपन टिंडर के दौर में

कोई और तो नहीं तलाश रही

जाना अब इस लॉकडाउन से

मुझे और कोई आस नहीं रही

जाना लॉकडाउन के दरमिया

तु मुझसे ज्यादती कर रही है

लॉकडाउन में  फंसी

वो मेरा इंतजार कर रही है

शायद वो अब मुझसे

पहले से कम प्यार कर रही है

Chhoda To Usne Tha Maine Nahin

Roj ka aana jana tha

Uske mohalle ke samne se

Roj ka roothana-manana tha

Ek jamane se

Happn, Tinder ke daur me

Koi aur to nahi talash rahi

Jana ab iss lockdown se

Mujhe aur koi aas nahi rahi

Jana lockdown ke darmiya

Tu mujhse jyadati kar rahi hai

Lockdown mein fansi

Wo mera intejar kar rahi hai

Shayad who ab mujhse

Pehle se kam pyar kar rahi hai
***

Kuchh Rishton Ke Koi Naam Nahin Hota


तेरे चेहरे का नूर 

अब भी यूँ ही कायम है क्या ?

कि लॉकडाउन के चलते

वो मासूमियत यूँ ही कायम कर रही है 


Tere chehre ka noor

Ab bhi yun hi kayam hai kya?

Ki lockdown ke chalte

Wo masumiyat yun hi kayam kar rahi hai

***


शराब भी नहीं मिल रही

लॉकडाउन के चलते

जो तुम्हारी यादों को भुलाने में काम देती

मेरी मोहब्बत कोई बैंक का क़र्ज़ नहीं थी

जो तुम आहिस्ता-आहिस्ता अदा कर रही हो

कि ज़ालिम आँखों से क्या-क्या कसूर कर रही है

फिर खुद को मुझसे दूर कर रही हो


Sharab bhi nahi mil rahi

Lockdown ke chalte

Jo tumhari yaadon ko bhulane me kaam deti

Meri mohabbat koi bank ka karz nahi thi

Jo tum aahista-aahista ada kar rahi ho

Ki zaalim aankhon se kya-kya kasoor kar rahi ho

Phir khud ko mujhse dur kar rahi ho

*****


Thank You

Corona Ne BarBaad Kar Diya

Mere Baad Bhi Kayi Aashiq Badle Usne

Aashiqui Mein Sharab Bhi Jaruri Hai

(Disclaimer: The Original Copyright Of this Content Is Belong to the Respective Writer)

Post a Comment

0 Comments